Ahmad fraaz
Ghazal Name.. Janan
- Ab ke tajdeed-e wafa ka nhi imkan jana...
- Tujkho kya yaad dilaen tera paiman jana.
(tajdeed= naya | imkan= ummed)
- Yoon hi mausam ki ada dekh ke yaad aaya....
- Kis qadar jald badal jate hain insan jana.
- Ham ke roothi hui rut ko bhi mna lete the....
- Hamne dekha hi nhi mausam-e-hijran jana.
(hijr= judaai)
- Ab tera zikr bhi shayad hi gazal me aae.....
- Aur se aur hue,dard ke unwan jana.
- Hosh aya to sabhi khwaab the reza reza....
- Jaise udte hue auraq-e-preshan jana.
(Auraq-e-preshan=toote hue patte)
- Awaal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar....
- Be piye bhi tha tera chehra gulistan jana.
(awwal awwal= shuruati mohabbat)
- Aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nhi...
- Rag-e-mina sulag uthi ke rag-e-jan jana.
- Muddat se yhi aalam na tawaqqo na ummeed...
- Dil pukare hi chala jata hai jana jana.
👌
ReplyDelete